Sunday, August 14, 2011

Aaj aajad hue 65 sal ho gaye.....

magar Neharu aur Ghandhi ab sirf kitabon me rah gaye..


Badti hui bekari aur ye gundagardi..

ab hum aam log apne hi desh me gair rah gaye..


Suna hai ki sab mil ke lade the angrejon se..

ab to hum sab apno me hi kho gaye..

Tum sab mil kar ek naya itihas banana..

bhul kar jati aur dharm, ek naya bharat banana..

ki hum samjhdar log to bas baton me hi rah gaye.....


ki aaj aajad hue 65 sal hi gaye...............